Computer Programming Language ek artificial Language hoti hai, Jaise aap ek dusre se batchit karte hain ussi tarah Computer ya machine ko kisi kary karne ka nirdesh dene ke liye "Computer Programming Language" ki avashyakta hoti hai isse hi Computer Language ya Computer Bhasha bhi kehte hain. Toh aayiye jante hain ki Computer Programming Language kitne types ki hoti hai?

Types of programming languages

Content:

  • Types Of Programming Languages.
  • What is Low Level Programming Language?
  • What is High Level Programming Language?

Types Of Programming Languages

Computer Programming Languages 2 Types ki hoti hain:
  1. Low Level Programming Language.
  2. High Level Programming Language.
Low Level Programming Languages

What is Low Level Programming Language?

Low Level Programming Language do types ki hoti hain:-

1.Machine Language:

Iss Language ko sirf Computer hi samajh sakta hai, computer keval Binary numbers yani 0 & 1 ko hi samajhta hai aur computer ka circuit inn binary code ko identify kar leta hai yahi pehchan leta hai aur isse Electric Signals mein chand kar leta hai. Iske 0 ka matlab Low ya Off hai aur 1 ka matlab High ya On. Normal insaan ke liye isse samajhna aur isme program likhna impossible hai, pehlu generation ke computer mein machine language ka use kiya jata tha. Isse Machine Language ko First Generation Programming Language kaha jata hai.

2.Assembly Language:


Assembly Language ek aisi Computer Programming Language hai jisme binary number ki jagah par Mnemonic Code ka use kiya jata hai aur isse Machine Language mein badalkar ke liye Assembler ki jaroorat hoti hai. Lekin yeh alag-alag micro processor ke liye alag-alag hoti hai. Assembly Language ka use Computer ki dusri generation mein liya jata hai isliye isse Second Generation Programming Language kaha jata hai.

High Level Programming Languages

What is High Level Programming Language?

Computer mein use ki jane wali woh Language jiske english ke aksharo, sankhyao aur marks ka use karke program likha jata hai, usse High Level Programming Language kaha jata hai aur kisi bhi prakar ke processor par kary kar sakti hai isse aasani se samjha ja sakta hai yeh generally english jaisi lagti hai. Isse Computer ke through translate karke Machine Language mein badla jata hai.

Yeh do types ki hoti hai:

Third Generation Programming Language:

Iss Programming Language ke aane se Computer Programmer ka kaam aasan ho gaya. Computer Programming karte samay ab unko Machine Language aur Assembly Language ki jarurat nahi thi aur na hi unko Machine Architecture ko janana jaruri tha woh ab independent hokar Computer Programming kar sakte the. Third Generation Programming Language mein Pascal aur Basic ka vikas hua.

Fourth Generation Programming Language:

Third Generation Programming Language ke Comparison mein Fourth Generation Programming Language ko bahut zyada saral banaya gaya. Iss Language mein Coding karna usse samajhna bahut saral hoo gaya, issi samay C, C++Language ka vikas hua. Jisase Programming karna adhik saral hua. 

1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post