API ke baare mein hum sabhi ne suna hoga lekin hum mein se bahut se log aise honge jo nahi jante honge ki API kya hai ( What Is API) aur API ka Fullform kya hai? Isko hum Application Programming Interface bhi keh sakte hain. Agar aap Computer Science mein interest rakhte ho toh apko API ke baare mein bhi jarur janana chahiye. Yeh ek aisa Software Code hai jo ki different-different Software Program ko aapas mein Communicate karne mein help karta hai.

What Is API

Jaisa ki hamein iske name se hi iske baare mein bahut kuch pata lag jata hai, Application Programing Interface yani ko Application ko Program karne wala System, ghuma-fira kar API ek aisa System hai jiske jariye hamara Application work karta hai. Aur hum usse use mein le paate hain.

Toh isliye maine socha ki apko API ke baare mein Detail mein Information dunga, taki apko next time API ko lekar koi other Problem ko face na karna pade. Toh bina time waste kiye chaliye jante hain ki after all API kya hota hai and iske kya advantages hai.

Content:

  • What Is API (API Kya Hai)?
  • Is API Safe (Kya API Safe Hai)?

What Is API (API Kya Hai)?

Jaisa ki maine apko upar bataya ki API ka Full Form Application Programming Interface hota hai. API ki baat kare to API ke bich ka System hai, yani ki hum agar hamare Mobile ya Computer mein koi Application chalate hain to jab Application Internet se judta hai ya uske Connection mein aata hai toh woh ek Server par Data bhejta hai. Server uss Data ko Receive karta hai, iss par Processing karta hai, jo kaam aap chahte ho wo karta hai aur phir usa Data ko apke Mobile ya Computer ke through wapas bhejta hai. Yeh sabhi kaam ek API ke zariye hota hai. Yani API ke bina kisi bhi Application ka kary mushkil hai.

What Is Server?

Chaliye isse ek Simple se Example se samajhte hain. Suppose kijiye ki aap kisi Restaurant mein dinner karne gaye hain, toh apke paas Restaurant mein ek Menu hoga jisme tarah-tarah ke khano ki list indexed hogi, jisme se apko apna favorite food select karna hoga. Aise mein maan lijiye aapne ek Pizza order kiya to ek Waiter ayega, woh rasoi ghar (Kitchen) mein jayega aur jo rasoi ghar mein kaam kar rahe Workers hai Pizza banayenge toh wo Waiter dobara ayega aur apka Pizza apko dega.

Iss Example mein jo Waiter hai wo API hai, jo ki hamare rasoi ghar (Kitchen) walo ke bich kaam kar raha hai. Yani ki jo Pizza hai woh ek Application hai jise hum chalu karte hain aur phir jo Waiter hai wo API hai jo ki hamara Data ek Server par lekar jata hai aur phir jab jo Data hame chahiye woh teyar jo jata hai toh wo usse hamare liye le aata hai wapas hamare Mobile par ya Computer par.

Computer Language mein, API ek aisa tarika hai jiske jariye woh apne App ko Develop karte samay usko ek aisa Medium provide karta hai jiske through woh aasani se chalaya ja sake aur User ko ek better Experience de sake. Simple Language mein kahe toh, yeh kisi Software ke bahut saare Systems jo ki usko chalate hain. Unke bich ek Communication ka medium hai. Ek achha API Application ke Communication ke Medium ki uski speed ko accessible banata hai. Yani bahut speed se kaam karta hai. Iske Example ke liye aap dekh sakte hain ki kuch Application ki Speed achhi hoti hai aur kuch ki nahi.

What Is Computer Programming Languages?

Is API Safe (Kya API Safe Hai)?

Jaisa ki hum sabhi jaan chuke hain ki API hamari Application ko Server se connect karke usme Data bhejta hai, aur usse avashyak kriya ye karke wapas phone mein ker aata hai, toh aise mein dimag mein baat aati hai ki "Agar hamare phone ka Data kisi Serve par ja rahe hai, toh kya API puri tarah se safe hai"? Toh main apko iske baare mein bhi bata deta hu.

Actually jo API hota hai, jab hum isse sanket dete hain yani ki hum jo kaam apne Application se karwana chah rahe hain, toh woh wahi Informations bhejega, jaise ki agar hum Facebook par koi Photo upload kar rahe hain toh wo upload related Informations hi bhejega jisase ki Facebook phir aapki Photo ko upload kar payega, yani ki API mein Application se jude sabhi type ka Data alag-alag hota hai, woh apke Server ko ja ke wahi Data dikhayega, jisase related aap processing karna chahte hoo, woh koi aur Data Server ko bilkul nahi dikhayega.

Aaj ke samay mein API bahut jyada value rakhte hain kyoki yeh kayi badi-badi companiyo ka hissa hai jaise ki Google, Amazon, EeBay, Wikipedia etc. Kayi companiya is API se paise bhi kamati hai jise hum API Economy bhi keh sakte hain.

1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post